Bazaar mein be parda
- Shahid Baltistani (2019)
Sayyeda, Tahera..(4)
Wa hijaba, wa ghurbata..(3)
Wa hijaba, wa ghurbata, wa ghurbata
Bazaar mein be parda nabi zaadi khadi hai
har mod pe marne ki..(2), dua maang rahi hai
bazaar mein..
1. Hai haatho'n mein patthar abhi aayi nahi zainab..(2)
bazaar mein pehle se..(2), hi ek bheedh lagi hai
2. Is ghum ki azeeyat koi sajjad se puche..(2)
bachpan mein sakina ki..(2), kamar kaise jhuki hai
3. Haaye..
Bazaar se lagta hai guzarte hai janaze
khamosh har ek bibi hai marne ki kami hai
4. Hai akhri manzil ise darbaar na samjho..(2)
maqtal ki taraf shaah ki..(2), hamsheer chali hai
5. Tasbeeh ke daano ki tarha ek rasan mein..(2)
har umr ki zahra..(2), hai jo paband khadi hai
6. Naam aata hai zainab ka sharabi ki zubaa'n par..(2)
Asa na ronde gal muk wendi, iya gaal jigar ku kha gayi..(2)
darbaar di peshi rabba bibi zainab di..(2)
sade sabbe araam, araam, haye araam muka gayi
Naam aata hai zainab ka sharabi ki zubaa'n par
Sajjad ki ghairat pe..(2), qayamat ki ghadi hai
7. Khoo'n rone ko Qaem ke ye kaafi hai takallum..(2)
Zainab ki taraf dekh ke..(2), duniya ye hasi hai
Bazaar mein be parda nabi zaadi khadi hai..(2)
Sayyeda, Tahera..