Baba mai lut gayi

- Shahid Baltistani (2019)


Haye shaam e ghareeba'n..(2)
Ashoor ki wo shaam qayamat ka wo samaa
Haaye...
Aaye najaf se milne ali, jis ghadi waha'n
beti lipat ke baap se karti thi ye fugha'n
arey athara bhaiyo ki bahen ab nahi rahi
baba.. baba.. badal do naam mai zainab nahi rahi

Baba...mai lut gayi
Baba...mai lut gayi

Karbobala basa ke yeh zainab ne di sadaa
Baba mai lut gayi..

1. Nazrein mila na payenge ek dusre se hum
aye mere babajaa'n tumhe abbas ki qasam
ankhein na kholna mere, sar par nahi rida
Baba mai lut gayi..

2. Pehle ke jaisi aapki beti nahi rahi
pehchan ne mein aapko kuch der yu lagi
beenayi bhi gayi meri akbar bhi chal basa
Baba mai lut gayi..

3. Sar rakhke zakhmi seene pe royi wo tishnakaam
akbar ne kar diya mere parde ka intezaam
chehre pe khoon hai mere kadiyal jawaan ka
Baba mai lut gayi..

4. Haye, ujdi hai ek roz mein amma ki kayenaat
kitne janaze utthe hai is ghar mein ek saath
bikhri hui hai dasht mein tasweer e Fatema
Baba mai lut gayi..

5. Shahzadiyo'n ki tarha se rakhha tha aapne
jaate hue hussain ko saupa tha aapne
wo dekhiye sina pe hai sar mere bhai ka
Baba mai lut gayi..

6. Baba najaf qareeb hai har shaam aaungi
mai qabr par hussain ki shamme jalaungi
tum saath apne le chalo ab kaun hai mera
Baba mai lut gayi..

7. Ye kehte kehte Mir Takallum wo ro padi
abid ko jalte khaimo se laayi hu mai abhi
beto ka imtehaan bhi beti ne dediya
Baba mai lut gayi..