Sukoo zehra ko aayega
- Hayat Naqvi (2019)
Haaye Zehra...
Hai hai Zehra
Labe haider hai yeh nauha Suku zehra ko ayega
Jab ayega mera mehdi mera mehdi
Mera mohsin ka badla bhi wahi akar chukaega
jab ayega mera mehdi
Labe haider hai yeh nauha Suku zehra ko ayega
Jab ayega mera mehdi mera mehdi
1. Dare zehra nahi tum ne dare kabba jalaya hai
Musalma hoke bhi tumne mohammad ko rulaya he
Tumhara khoo(n) bahaega...jab ayega
2. Nabi zaadi ka tumne haq bhi cheena hai musalmano
Yeh kya ajre risalat ka karina hai musalmano
Ye haq wapas dilaega...jab ayega
3. Shikasta pasliya thi aur pehlu bhi hua zakhmi
Daro dewar ke phir darmiya thi fatima zakhmi
Maa ke zakhmo ko mitayega...jab ayega
4. Nabi ka pursa dene aag lekar aaye the ghar per
Dile hassain aur zainab ke dil per chal gayi khanjar
Wo ghazi ban ke ayega...jab ayega
5. Woh baba ko bhi royi heto betul huzn me jakar
Bohat rote the maa ko dekh haye sabir o sabar
Saf e matam bichaega...jab ayega
6. Nabi ke baad woh che mah bhi zinda na reh payi
Kuch aese zakhm dil per khaye shahzadi na seh payi
Sitam sare bataega...jab ayega
7. Hayat e fatema zehra thi aththara baras haye
Zafar haider ne yeh kehkar lahad per askh barsae
Baqaiya fir banaega...jab ayega
Labe haider hai yeh nauha Suku zehra ko ayega
Jab ayega mera mehdi mera mehdi