Wasiyat e zehra
- Meesum Abbas (2019)
Haye Zehra Haye Zehra.. (8)
Zehra ki ab jahaan Se Rukhsat hai ya Ali
Tum Se yahi hamari wasiyat hai ya Ali
Ya Ali........(2)
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
Darbar mei Teri Zehra ko jhutlaane Wale na aae.....
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
1. Ya Ali mere baba har lamha jis dar ko chuma karte the
Us dar ko jalanewale aur..(2)
Jalwanewale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
2. Ya Ali meri hasrat thi tumko baba ke mimbar par dekhu
Haae Teri jagah us mimbar par..(2)
Aajaanewale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
3.Ya Ali sab ehle saqifa ko Paigham mera ye dedena
Baba ke paak janaze par..(2)
Na aanewale naa aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
4.Ya Ali pehlu bhi shikasta hai baalo mei safedi chaae hai
Zehra ko Teri is haalat me ...(2)
Pohchaane Wale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
5. Haae.......
Ya Ali.....
Ya Ali mere Mohsin par girya haq tha mera joh chin liya..(2)
Ya Ali mujhe marte marte bhi..(2)
Tadpaanewale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
6.Ya Ali Zainab ki ankho mei mujhe khauf dikhaae deta hai
Gardan mei Teri haae tang rasan...(2)
Pehnane Wale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
7.Ya Ali meri mayyat ko chup kar tarikhi mei dafna dena
Rone ke liye mujh par mujhko...(2)
Rulwane waale na aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
8. Salman.....
Salman mai Bibi ka Nauha meesum ke liye kaise likhun.....
Jab tak JANNAT mei le jakar...(2)
Likhwane Wale naa aae
Ya Ali meri mayyat par mera haq khane Wale na aae..(2)
Haye Fatema Zehra ....haye Fatema Zehra ....