Hussain bant rahe hai nijaat le jao
- Mir Hasan Mir (2019)
Husain baan't rahe hai nijaat le jao..(2)
kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Ye karbala hai ye mojiz numa ki basti hai..(2)
kafan mein iske lapeto, hayaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Kahenge matami halqo'n se log mehshar mein..(2)
hume hussain ki jannat mein saath le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Nahi karunga lahad mein mai intezaar e sahar..(2)
farishto karbobala raat o raat le jao
kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Qasam hussain ki purse mein kam hi lagta hai..(2)
baland jitna bhi matam mein haath le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Kaha ye khizr se abbas ne yaha'n aakar..(2)
hamari mashk se aab e hayaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Ae maujo'n uttho areeze ko saath lejao..(2)
Imam e Asr talak meri baat lejao
Kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Khuda utaarne wala hai sadqa Mahdi ka..(2)
Rasoolo'n aao naye mo'jizaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Kahengi Fatima waqt e zahoor Mahdi se..(2)
ladayi ke liye ghazi ko saath le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao
Ghume hussain mein har zakhm mojiza hai naeem..(2)
sajake jism pe kuch mojizaat le jao
Husain baan't rahe hai nijaat le jao