Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi

- Rizwan Rizvi (2019)


Lahu se aaj haidar ke 
Dare mahraab hai rangee
Lagi talvaar haidar ko
Musalla ho gaya zakhmi.

Jo miskeeno ka tha miskeen
Yateemo ka sahaara tha
Jo raato ke andheron me
Har ek ghar ka ujaala tha.
Sakhi ibne sakhi ko
Ibne muljim ne kiya zakhmi.
Lagi talvaar haidar ko
Musalla ho gaya zakhmi.

Pachaade khaate hain zainab
Kabhi kulsoom roti hain.
Ali ki aankhri rukhsat khuda ke ghar se hoti hai.
Hui viraan masjid har daro
Deewaar hai ghamgee.
Lagi talvaar haidar ko
Musalla ho gaya zakhmi.

Bine muljim ne haidar ke gharaane par, sitam dhaaya.
Lagaai tegh woh kaari
Namaazi ko gaya maara
Utha kaandho pe laasha haay kaleja ho gaya chalni.
Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.

Lo aayin khuld se zahra 
Rasoole paak rote hain.
Jhukaaye sar khade dar par
Kabhi jibreel rote hain.
Mere maula ke gham ne
Har dilo ko kar diya gham gee.
Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.

Nabooat ki imaamat ki
Jo ban ke jaan aaya tha.
Rajab ki teraah ko kaabe ki 
Ban ke shaan aaya tha.
Gaya woh aaj dunyaa se
Fizaahe cha gayin gham ki.
Lagi talvaar haidar ko
Musalla ho gaya zakhmi.

Mere maula ne sharbat ka pilaaya jaam qaatil ko.
Lagaai zarb jisne kar diya
Aazaad qaatil ko.
Sakhi aise mere maula ki
Kaisi zindigi kar dee.
Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi.

Sada armaan ka maula salaame aankhri le lo.
Aye maula apne saaye me
Har ek gham khaar ko le lo.
Padho rizwaan nauha
Aaj hai har matmi gham gee.
Lagi talvaar haidar ko musalla ho gaya zakhmi