Karbala chalo
- Mir Hasan Mir (2020)
karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo
karbala karbala karbala..(2)
Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2)
Karbala chalo... karbala chalo..(4)
Karbala chalo... karbala chalo..(4)
Karbala chalo... karbala chalo, karbala chalo..(2)
Lo aagaya bulawa..(2)
mazloom e karbala ka...
1. Maa muntazir hai bete ke ghumkhaar aayenge
aakar mere hussain pe aasu bahaenge
bint e rasool takti hai..(2)
tum sabka raasta.... karbala chalo....
2. Zahra ka laal qabr mein hasrat ye le gaya
akbar ka kalma goyo ne pursa nhi diya
ab sheh ko pursa dena hai..(2)
kadiyal jawaan ka.... karbala chalo....
3. Jee bhar ke apne bhai ko zainab na ro saki
majlis zameen e karbobala par na ho saki
armaan e sayyeda mein..(2)
bichad e safe azaa.... karbala chalo....
4. Khanjar tale hussain ki aahein gawaah hai
halmin mugheesuna ki sadaein gawaah hai
kab se hume bulata hai..(2)
zahra ka laadla.... karbala chalo....
5. Jis khaak ne chupaya tha bint e ali ka sar
jisne kafan banaya tha laash e hussain par
us karbala ki khaak ka..(2)
karne ko shukriyaa.... karbala chalo....
6. Baazu katake jis jagah abbas so gaye
armaan bawafa ke jaha'n dafn hogaye
aasu waha girayenge..(2)
paani jaha'n gira.... karbala chalo....
7. Qismat se waqt aayega jab ye hayaat mein
tum apne betiyo'n ko bhi le jaana saath mein
akbar ko wo sunayengi..(2)
sughra ka marsiya.... karbala chalo....
8. Ek saal baad bhai ka sar jis ghadi mila
abid se roke kehti thi ye binte sayyeda
dafnaungi mai hatho'n se..(2)
sar apne bhai ka.... karbala chalo....
9. Chehlum bhi apne baap ka bachhi na kar saki
roti hui wo shaam ke zindaa'n mein marr gayi
ae kaash koi kehde sakina se ye zara
karbala chalo....
Labbaik, Labbaik, Labbaik Ya Hussain..(2)
Halabikum ya zawwari, halabikum
abad wallah ya zahra ma ninsa hussaina
10. Is saal arbaeen pe aisa ho ehtemaam
ae kaash zaero'n mein ho shamil hamara naam
aur de hamein bhi hazrat e abbas ye sadaa
karbala chalo....
11. Ghurbat musafiron'n ki musafir samajh sakein
kaise chali thi bibiya'n andaza ho humein
aasu bahate shehr e najaf se piyada paa
karbala chalo....
12. Chehlum pe jaise aati hai zainab bhi shaam se
izn e safar mile jo takallum imaam se
har ek qadam zahoor ki karte hue dua
karbala chalo....
Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain
Karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo