Ujday hue gharo se
- Farhan (ALI WARIS) (2020)
Wawaila, hay wawaila.. Wawaila, hay wawaila..(2)
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
ab laut aa musafir..(2), Zehra bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
1. Ek saal yu guzara takti rahi mai raahein
bus dhundhti hai bhaiyya tumko meri nigahein
ab laut aao akbar..(2), sughra bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
2. Mehendi lagaungi mai, sehra sajaungi mai
armaan hai ye maa ka, dulhan bulaungi mai
ab laut aao qasim..(2), farwa bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
3. Hai aun aur Mohammed tum jin mein khelte the
suni hai ab wo galiya'n, weeran hai wo hujre
ab laut aao pyaaro'n..(2), dukhiya bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
4. Maa dhoop mein rahegi, faryaad bhi karegi
jab tak na aaoge tum, pani nahi piyegi
ab laut aao asghar..(2), mamta bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
5. Ummul baneen rokar ye kar rahi hai nauha
tum dasht e karbala mein, kulsoom par the fidya
ab laut aao ghazi..(2), behna bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
6. Bus waris e ali se farhan aur mazhar
karte hai dil ki batein farsh e azaa bichakar
ab laut aao maula..(2), duniya bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)
ab laut aa musafir..(2), Zehra bula rahi hai
Ujday hue gharo se aawaaz aa rahi hai..(2)