Ayyam e Hussain
- Farhan (ALI WARIS) (2020)
Hussain.. hussain.. hussain... Yaa Hussain!
Hussain, hussain, hussain, hussain ..(2)
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(2)
Chand moharram ka hua hai ayaa'n
ayyam e hussain..
kaale libaso'n mein hai peero jawaa'n
ayyam e hussain..
Chand moharram ka hua hai ayaa'n
kaale libaso'n mein hai peero jawaa'n
ghar mein azakhana sajati hai maa
han ye moharram ki hai tayyariya'n
ye bargaah, ye masjide, ye majlise, ibadate
hai bolbala aaj bhi hussain teri jeet ka
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Saja diye gaye alam, bicha diya hai farshe ghum
karam hai bibi sayyeda ke ghar mein aa gaye qadam
Nabi bhi hai, Ali bhi hai, Hasan bhi hai, Hussain bhi
ha pursa lene aagayi hai humse aale Mustafa
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Hai wila azaa ka silsila mera
halqa e matam hai ilaqa mera
naa kabhi hussain ko bhulaunga
Fatima Zehra se hai wada mera
wilayat e Ali rahe, azaa rahe hussain ki
ha maqsad e hussain, maqsad e hayaat hai mera
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Majlis e azaa, juloos o taziye
jhule, zuljanah, alam ke silsile
jaa ba jaa hussain ki sabeel hai
matami chale hai halqa baandh ke
gali gali, nagar nagar, sabhi hai aazime safar
rawa'n dawa'n hai karbala ke simt kitne qafle
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..
Ya rab meri soyi hui taqdeer jaga de
aankhein mujhe di hai to karbala bhi dikha de
is saal arbaeen pe paidal karu safar
ya rab mujhe hussain ka zawwar bana de
Kya hua jo mai bohot ghareeb hu
apne maula ke to mai qareeb hu
saal bhar namak se roti khaunga
phir bhi karbala zaroor jaunga
wo din kabhi to aayega, wo karbala bulayega
hussain apne ashiqo'n ka dil nahi hai todta
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Karodo log tere ishq mein safar pe chal diye
najaf se karbala ki samt ye peyada qafle
qadam qadam, liye alam, safar mein hai, ye ehle ghum
nigaah sue karbala, labo'n pe sab ke ek sadaa
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Jaha'n jaha'n uthi nazar
hussain hi hussain hai
gali gali, nagar nagar
hussain hi hussain hai
haa dekhlo karodo sar
hussain hi hussain hai
zamee'n se dekho arsh par
hussain hi hussain hai
husainiyo ka raahbar
hussain hi hussain hai
jaha'n mein har zabaan par
hussain hi hussain hai..(2)
Hussain.. hussain...
Ghume hussain mein jo ashkbaar hota hai
kisi bhi mulk se ho usse pyaar hota hai
na rang o nasl na mazhab ki koi qayd yaha'n
sabhi ka za'ereen mein shumar hota hai
Marhaba chehlum e shabbir manane wale
goshe goshe se chale aate hai aane wale
mehwe hairat hai umayya ke gharane wale
keh rahe hai ye zamane se zamane wale, zamane wale
shart e mazhab nahi jisme wo idara hai hussain
aaj har qaum ye kehti hai (hamara hai hussain)..(3)
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Hussain tu ne maslako ke fasle mita diye
alam kisi ne aur kisi ne taziye saja diye
jo kalma goh nahi hai wo bhi tere darr pe agaye
har aadmi ke waste hai tera darr khula hua
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Hussain.. Hussain..
Tere chehlum ke liye, tere matam ke liye..(2)
aagaye karbobala, ye tere ehle azaa
baland haath fazao'n mein aur labo'n pe buka
Hussain.. hussain..
Matami ki hai sada
rahe ayyam e hussain
karbala aaye sadaa
rahe ayyam e hussain
chahta hai ye Khuda
rahe ayyam e hussain
Sayyeda ki hai dua
rahe ayyam e hussain
gir ke ye mazhar o farhan ne sajde mein kaha
Hussain.. hussain..
dil mein hussain, hussain
jaa'n mein hussain, hussain
ayyam e hussain, ayyam e hussain
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..(4)
Ayyam e hussain.. ayyam e hussain..