Nana rab ke wastey sun meri dua
- Farhan (ALI WARIS) (2020)
Zahra.. haye Zahra.. Zahra..
Haaye...
Qabr e nabi udas madina udas hai
kamsin hussain nana ke roze pe aagaya
Nana mere nana.. mai hussain
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
Beemar hai ye maa meri..(2)
dukhiya ko de shifa
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
1. Jud sakti hai to jod de amma ki pasliya'n
haye, jud sakti hai to jod de amma ki pasliya'n
ummat ne meri maa ko..(2)
zakhmi bohot kiya
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
2. Lagte rahe tamache mai dekhta reh gaya
haye, lagte rahe tamache mai dekhta reh gaya
bebas hussain reh gaya..(2)
maa ko bacha na sakaa
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
3. Deewar o darr ke darmiya'n maa pis ke reh gayi
haye, deewar o darr ke darmiya'n maa pis ke reh gayi
chilla rahi thi dard se..(2)
mohsin guzar gaya
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
4. Leti hai jab bhi saans to dukhti hai pasliya'n
haye, leti hai jab bhi saans to dukhti hai pasliya'n
maa ka ye haal dekh kar..(2)
phat-ta hai dil mera
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
5. Pehlu ke dard ke sabab so bhi nahi saki
haye, pehlu ke dard ke sabab so bhi nahi saki
bachhe na roye isliye..(2)
chhup chhup ke ki buka
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
6. Ummat nahi samajh saki rutba batool ka
haye, ummat nahi samajh saki rutba batool ka
darbar mein batool ko..(2)
jhutla diya gaya
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)
7. Farhan aur mazhar o nashad ro diye
haye, farhan aur mazhar o nashad ro diye
sun kar ye bayn kaa'np utha..(2)
roza rasool ka
Nana rab ke waste sun meri dua..(2)