Muslim se koi puche zainab ki beridayi
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2020)
Muslim se koi puche zainab ki beredayi
Koofe me jab bahen ne roodade gham sunayi
1.Balon se munh chipa kar zainab ye kahrahi thi
Bhayya hamari ghairat pamal ho chuki thi
Lekin kisi ko ran me bilkul haya na aayi
2.Abbas Mar chuke hain akber bhi ab nahi hain
Qasim bhi Mar chuke hain asghar bhi ab nahi hain
Barbad ho chuki h bhayya teri kamayi
3.Jinke saron ki janib Sooraj ne bhi na dekha
Lekin yahan pe bhayya majma sharabiyon ka
Ahle haram ki aakar karta hai roonumayi
4.Aankhen to kholo apni har gham bhula chuki hoon
Bhayya mai tumse milne koofe tak aagayi hoon
Koi bacha na apna bacche rahe na bhai
5.Honton pe hichkiyan thin pairon me aable the
Kanton ke raston per hum log chal rahe the
Sajjad kar kar rahe the uswaqt rahnumayi
6.Chader bhi chin rahi thi aansoo bhi bah rahe the
Khaime bhi jal rahe the gham yunhi sah rahe the
Tab khud ali ne aakar himmat meri barhayi
7.Har samt behayayi bazar me khadi thi
Mai ek reda ki khatin pal pal tadap rahi thi
Lekin teri bahen ne bhayya reda na payi
8. Ay shams bibyon me kohram mach gaya tha
Ek bhai ek bahen se Rehan kahraha tha
Majboor ay bahen hai iswaqt tera bhai