Nanna sa phool
- Farhan (ALI WARIS) (2002)
Nanna sa phool
Inkaar Aasman Ko Hai Raazi Zamin Nahin
Asghar(a.s.) Teray Lahoo Ka Thikana Kahin Nahin
Maidan Mein Garmi Hai Matti Hai Dhool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
- Asghar(a.s.) Ki Qabr Khood Kar Rotay Raha Hussain
- Khaimay Ki Simt Kis Tarha Jaaon Meray Pisar(a.s.)
- Ab Hum(a.s.) Bhi Marnay Jaatay Hain Aey Laal(a.s.) Alwidaa
- Laasha Hai Us Kay Haat Peh Khoon Mein Bhara Hua
- Aey Fauj-e-Kibria(a.s.) Kay Mujahid(a.s.) Tujhay Salam
- Zakhmi Tera Gala Hai Lahoo Phool Sa Badan
Kehtay Thay Haaey Lakht-e-Jigar Meray Dil Kay Chain
Teray Liey Hussain(a.s.) Bohat Dil Malool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Kis Tarha Teray Marg Ki Baano(s.a.) Ko Doon Khabar
Us Ko Teray Baghair To Marna Qubool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Laasha Hamara Hona Hai Pamaal Alwidaa
Bach Jaey Deen Nana Ka Mehnat Wusool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Jisko Lab-e-Furaat Bhi Pani Na Mil Saka
Jis Kay Liey Rasool Kay Sajday Ko Tool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Kia Shaan-e-Be Zubani Say Tu Nay Kia Kalam
Tareekh-e-Guftugu Ka Anokha Usool Hai
Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai, Goya Pisar Ki Laash Say Sibt-e-Rasool Hai, Jalti Hai Yeh Zamin Tu Nanha Sa Phool Hai
Khaimay Kay Dar Peh Baali Sakina(s.a.) Teri Behan(s.a.)
Kehti Hai Teray Baad Ghumon Ka Nuzool Hai