Baba shaam aagaya

- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2020)


Haaye Zainab,  Zainab,  Haaye Zainab 
Azadarane Imame Hussain
Ali Ki beti Zainabe kubra
Baazaron me Hussain Ke Baad
Darbadar Phirayi gaayi
Abbas ke Behan Ko jab Khabar mili 
Bazaar e sham Aagaya 

Bazaar e Sham Ka Hujom
Tamashaiyon Ka hujoom
Ali Ki Beti Ne Najaf Ki Taraf Ruq Kiya 
Be Saakhata baba Ali Ko Awaz Dee
Baba, Baba….Arre baba

Hogayi Berida Waqt Kaisa Pada 
Sar Khula Hai mera, baba Sham Agaya
Kon hai Ab Mera Aye Mere Babajaan
Qaid Hoon be Qata
Baba sham Agaya(2)

1] Aap ko Hai khabar Kitni Masoom Hoon
Jaungi Kis tarah Main pareshaan Hoon (2)
Bheed hai Har Tarraf 
Aur Main Nage Saar Aagayi Be Rida
Baba Shaam Agaya (2)

2] be Kafan Bhayi ko chod kar Aagayi
Bahyi Aisa bhi tha Jo Meri Zindagi
Jism Karbala Me hai
Aur Saize Par Sar, bhayi  Ka Hai Chadha
Baba Shaam Agaya

3] kise Jaake bhala Haale dil Main Kahoon
Baba Imdad Ko Ab Sada Kisko Doon
Qatl Raan Me hue
Haaye Sher Mere Jinka Tha Aasare
Baba Shaam agaya

4] Dil Me Hasrath Thi Jo Poori Hona Sakhi
Shadi Akbar Ki Kab haaye Zainab Nai Ki
Dil Pe Khaaye Sina
Margaya Naujawan Dulha Bana Saka
Baba shaam Agaya

5] Ghaiyrate sayyada Mai Hoon Binte Ali
Majmaye Aaam me Aaj Hoon Mai khadi 
Dekh Ke Berida Kyuna Bhai Mera 
Khon Roye Bhala 
Baba Sham Aagaya

6] Hai Muhibbe Ali Us Ghadi Ro Diya
Jab Ke Imran Ne Noha Danish Padha
Sham Me Agayi Aap ki Ladali
Do Muje Howsala Baba Shaam Agaya

Hogayi Berida Waqt Kaisa Pada 
Sar Khula Hai mera, baba Sham Agaya