So gaya asghar
- Mir Rehan Abbas(Bangalore) (2020)
Sogaya Asghar mera aur alqama behti rahi
Haaye bekas bezubaan par zindagi roti rahi
Haaye asghar mere asghar kehke maa roti rahi
1. Nanha tha masoom tha aur phool tha uska badan
Teer se bhi kamm tha logon mere asghar ka badan
Karke banu umr bhai ye gham bayan roti rahi
2. Teen din ki pyas ko bhi muskara kar seh gaya
Baahon me shabir kr asghar tadap kar reh gaya
Hurmela maloon ke haathon me kama roti rahi
3. Aayi jab shaame gharibaan zulm had se badh gaya
Ek gehwaara tha ab wo bhi tumhaa jal gaya
Dekh kar aghar ke jhoole ke nishaaan roti rahi
4. Akbaro asghar ka gham us par qatamath kar gaya
Qaasimr naushaah tukdon me bikhar gaya
Sub ke zainab baade karbal bhi azaan detee rahi
5. Qabr nanhi see banakar zaqmi haathon se rubab
Dafn kar deti thi aksar us me ek nanha gulab
Hai mera asghar yahan ye keh ke mas roti rahi
6. Shame ashoora nabinki aal ka parsa luta
Nauke naiza se zameen par ba wafa ka sar gira
Zainabe dilgeer ki qaatir rida roti rahi
7. Shaam ke zindaan me maa ko sukoon aataa nahi
Mera asghar mere pehlu ke bina sota nahi
Shams karke maa yahi aaho fughaan roti rahi