Akhir hussain maa hu

- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)


Maa aa gayi hussain 
Maa aa gayi hussain

Kitni tapish hai beta
Saaya tera banau
Aakhir hussain maa hu

Naazo ke paale beta
Aa jholi mai phailau
Aakhir Hussain maa hu

1. Nana ne kabr chodi, aaye ali najaf se
Mai aa gayi bakaiyya se, aye laal paas tere
Bachche ka gham mai apne kyu dil se na lagau

2. Jhoole me chayn tumko, milta nahi tha beta
Maine kabhi ali ne, godi me hi sulaya
aa jao phir se tumko aagosh me sulau

3. Jibreel sa farsihta, jhoola jhulane aaya
Le le ke jaam e kausar, pani pilane aaya
Bachpan ke laad tere mai kaise bhool jau

4. Kehti rahi mai zalim, naazo ka hai yeh pala
Khanjar chala na uspe, ahmed ka hai dulara
Sar aa gaya sina pe mai kaise chayn paau

5. Naaka nabi the jiska, laash uski kya yahi hai
Ghodo ke daudne se, pamaal ho chuki hai
Tukde utha utha ke lasha tera banau

6. Hai bekafan janaza, jalti hui zamee'n par
Roti rahengi maa bhi, ta hashr ab yahi par
Tanha tujhe yaha par mai kaise chod jaau

7. Akbar ke dil se barchi, beta jo tune khainchi
Sine ka uske khoo'n mai, haatho se rokti thi
Woh mar gaya tadap ke kis tarha bhool jau

8. Mayyat ho jiske ghar pe, dete hai log pursa
Kitni ghareeb hai yeh, ujdi hui teri maa
Lene ko tera pursa ghar ghar me roti jaau

9. Royi lahad pe zehra, maqtal me royi zehra
Rota hai jo bhi tujhpe, karti hu saath girya
Rote hue hasan se nauha tera likhau