Labbaik Ya Hussain

- Hayat Naqvi (2020)


Mera Maula Hussain
Mera Aqaa Hussain

Bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
Hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

Labaik ya hussain labaik ya hussain

hamaray hain ya Hussain
Kaho Labbaik ya hussain

1. Maula tumahray gham mein haazir hamari jaan
yeh jaan bhi kya hai qurbaan meri maa
tum par Nisar Maula khaaliq ka do jahan
duniya ke konay konay mein kehta har jawaa

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

2.Har ja hussainiyat ke manzar dikhaye ge
har ja chairag fikar e sarwar jalaye ge
hum log bohat jaldi kaabay se sune ge
Jis waqt sir e kaaba  Mehdi yeh kahe ge

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

3. Hum zikar e shahe wala sulli pay suna de
hum sir pay kafan rakh ke duniya ko dikha de
Shamsheer pay gardan ko Shamsheer bana de
Ham hai dua e zahra duniya ye jaan le

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

4. Haye woh karbalaa ke jis ja yeh gham huva
be jurm tahe khanjar Ahmed ka nawasa
lekin jo haq hai markar bhi haq wohi raha
yeh baat khud tapak kar khoo bolnay laga 

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

5. Jab qatal hue sab hi jab koy nahi bacha
Jis waqt ran mein tanha Maula mera huva
Us waqt ran me gungi halmin ki ik sada
jhulay se gir ke Asghar ney Sheh se yeh kaha

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

6. Din Guzra aay sir par gurbat ki shaam hai
Shehzadiya he tanha abid bimaar hai
Khaimo ko loot ne aay fauje shaam hai
Zainab sambhale sab ko mahve kalam hai

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai

7. Al mukhtasar yeh samjhoo har dard ki dawa
khaaliq ka Shifa khanah wallah karbalaa
likha yahi parha hai hum ney yahi suna
Hayat o haawi aazmi Maula ney khud kaha 

bujh kar jo jal uttha hai shabir woh diya hai
hai jo hussaini uss ney khul kar yahi kaha hai