Sayyeda ki dua
- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2020)
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
1)
Ye Aza Aale Payamber Se Wafadaari Hai
Ye Aza Fikre Bashar Ke Liye Bedaari Hai
Ye Aza Dahr Mein Har Zulm Se Bezaari Hai
Ye Aza Deen Hai Aur Deen Azadaari Hai
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua
Hai Hai Ye Azaae Sajjad
2)
Aam Yoo'n Sabr Ka Duniya Mein Hai Dastoor Kiya
Khaak Ko Jalte Huwe Khaemo'n Ki Hai Toor Kiya
Karbala Se Hai Hai Har Ek Khatre Ko Bhi Door Kiya
Qatl-e-Shabbir Ko Aabid Ne Hai Mash-hoor Kiya
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
ITMENAAN-E-DIL-E-ZAHRA HAI AZAAE SAJJAD
HASRAT-E-ZAINAB-E-KUBRA HAI AZAAE SAJJAD
GHAM-E-ITRATH KA KHULAASA HAI AZAAE SAJJAD
GHAR MEIN SHABBIR KE BARPA HAI AZAAE SAJJAD
3)
Farsh-e-Gham Hai Ye Aseero'n Ne Sajaaya Ise
Apni Aankho'n Se Farishto'n Ne Lagaaya Hai Ise
Kya Kahi'n Kis Tarah Zainab Ne Bichhaaya Hai Ise
Apni Chaadar Ko Lutaaya Hai Bachaaya Hai Ise
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
4)
Dil Hai Zinda Toh Hai BeSheer Ka Maatam Waajib
Baahaya Logo'n Pe Tath-Heer Ka Maatam Waajib
Qulq-e-Awwal Ki Hai Tasweer Ka Maatam Waajib
Saare Aalam Pe Hai Shabbir Ka Maatam Waajib
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
5)
Chaoda Sadiyo'n Se Jo Aabad Hai Sheh Ka Maatam,
Qaid-e-Zainab Se Ye Aazaad Hai Sheh Ka Maatam,
Kaon Kehta Hai Ke Ilhaad Hai Sheh Ka Maatam,
Sunnate Syyed-e-Sajjad Hai Sheh Ka Maatam.
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
6)
Gham Mein Karte Rahe Faryaad Lahu Rote Rahe
Karke Baazaar Ko Bas Yaad Lahu Rote Rahe
Lutt Ke Ho Bhi Gaye Aabaad Lahu Rote Rahe
Margaye Syyed-e-Sajjad Lahu Rote Rahe
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad
7)
Aye HASSAN Aur MUQARRIB Ye Dua Baaqi Rahe
Apni Naslo'n Mein Shahe Dee'n Ki Wila Baaqi Rahe
Aale Zahra -o-Ali Se Ye Wafa Baaqi Rahe
Har Zamaane Mein Ye Tehzeeb-e-Aza Baaqi Rahe
Karbala Ki Hai Baqa Hai Ye Azaae Sajjad
Syyeda Ki Dua Hai Hai Ye Azaae Sajjad