Momino ghazi alamdar ka matam karlo
- Syed Muqarrib Raza Alipuri (2020)
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam Karlo
Shah ke Qafila Saalar ka Matam karlo
1) Junge Siffin me samjha gaya jisko hyder
Saanie Hydere karrar ka matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
2) Karke qabza jo labe nehr se pyaasa louta
Ay Wafadaro'n Wafadar ka Matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
3) Jis ke marne ki khabar tod gayi sheh ki kamar
Quwwate sayyade abrar ka matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
4) Jis ke laashe pe kamar thaam ke pahunche they hussain
Shahe Mazloom ke gham khaar ka matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
5) Kehti hai Zainab-o-Kulsoom bahakar Aañsoo
Zamine chadare At'har ka maatam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
6) Berida dekh ke naize pe jo sar ruk na saka
Haye zainab ke hayadar ka matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
7) Saaqi-e-Ahle Haram aur Dile Zainab ka sukoo'n
Baazooe Shaahe Alamdar ka maatam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam --3
8) Nouha padh kar ye Muqarrib ne kaha mehwe buka
Aawo sab milke Alamdar ka matam karlo
Mominoñ Ghazi Alamdar ka Matam Karlo --4