Arzoo e azadar
- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)
Maula maula mere maula maula mere maula..(2)
Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar
chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar
zindagi mein ho karam..
1. Maula ek baar mujhe izn e ziyarat dedo
tumko zehra ki qasam mujhko ijazat dedo
zindagi kam hai bohot thodi si mohlat dedo..(2)
mera samaan e safar kabse rakha hai tayyar
chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar
zindagi mein ho karam..
2. Babe saqi e atash par jo nazar jaaegi
yaad masoom sakina ki bohot aayegi
laash par teri jaha'n ro na sake ehle haram..(2)
ek zamana hai waha'n aaj tera matam daar
Jab shaam o safar fatema zahra tujhe roye
Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2)
zindagi mein ho karam..
3. Jhula asghar ka rakha hai jaha'n ek hujre mein
aisa lagta hai waha'n maa kisi ek kone mein
choom kar khoo'n bhara halqoom sada deti hai..(2)
aankhein to kholo meri simt to dekho ek baar
kooza lekar haatho'n mein wo tujhko dhundhne jaati hai
kuch to bolo aankhein kholo asghar behen bulati hai
Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar
chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar
zindagi mein ho karam..
4. Jab muqam e ali akbar pe padhunga nauha
ayegi sughra ke rone ki madine se sadaa
aaj bhi laash pe maa sehra liye roti hai..(2)
baap ki aaj bhi hai laash e jawa'n pe ye pukaar
Apne lahu mein aaj sawarne ke din na the
akbar jawa'n abhi tere marne ke din na the..(2)
zindagi mein ho karam..
5. Khaima gaah dekh ke yaad ayega manzar saara
aaye jab aakhri rukhsat ko ghareeb e zahra
shor e girya se qayamat thi fizao'n mein bapa..(2)
behen kehti thi ye karte huwe bhai ko sawaar
Zainab ko har ek mod pe tadpayegi duniya
yaad aaoge bhaiyya.. yaad aaoge bhaiyaa
Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar
chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar
zindagi mein ho karam..
6. Jab muqam e kafe abbas pe jaana hoga
kaise hoti hai kate haatho'n se dekhunga ataa
za'eron ko yaha'n milti hai wafa ki saughaat..(2)
mango sadqe mein sakina ke saja hai darbaar
Dua to maang sakina ka waasta deke
ye kaise hoga ke abbas aur ataa na kare..(2)
zindagi mein ho karam..
7. Tilla e zainabiya par na rukega girya
behen ke saamne kaata gaya bhai ka gala
jaa se zainab ne churi bhai pe chalte dekhi..(2)
kehke maqtal mein chali rote hue wo ghumkhwaar
Kya guzri hai tumpar, kuch to kaho sadqe gayi maa jayi hai zainab
aye bhai hussaina, aye bhai hussaina..(2)
Zindagi mein ho karam, mujhpe bhi mere sarkar
chhote hazrat se kahe mujhko banade zawwar
zindagi mein ho karam..
8. Hogi jab nazre karam ghazi ki rehan o raza
karbala jaake mai wapas jo watan aaunga
log puchenge mera haal mai batlaunga kya..(2)
ashk hai aankho'n mein aur dil ko nahi milta qaraar
Ye dil bina hussain ke paaye sukoo'n kaha'n
dil karbala mein reh gaya, mai aagaya yaha'n