Aye hur jawan ka laasha
- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)
Haye..
Jis ghadi hurr ka pisar zeen se maqtal mein gira
Laash par uski gaye hurr se bhi pehle maula
Laash bete ki uthane ke liye hurr jo badhaa
Hurr ko seene se lagakar shahe wala ne kahaa
Aye hur, aye hur... aye hur, aye hur..(2)
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
Pisar ke seene se barchhi chhudana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
1. Dil e padar ki jo halat hai hurr samajhta hu
tumhari sabr ki lekin mai daad deta hu
ke jaise tum yaha'n aaye ho, aana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
2. Jo haal hona hai qasim ka iska haal na ho
ke tere laal ki mayyat to payemaal na ho
mai jaanta hu ke tukde, uthana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
3. Hussain kehte the rokar ye hur ke bete se
samajh raha hu aziyat teri mere bachhe
burida halq se yu muskurana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
4. Pukara hur ka pisar roke aye shahe ismat
salaam ke liye uthne ki bhi nahi himmat
ke pyaso'n se maula bulana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
5. Ghareeb baap ka ye imteha'n nahi lunga
tumhare laal ko kandho pe mai uthaunga
utha ke laash ko khaimo mein jaana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
6. Ye waqt kaisa hai tumko khabar nahi bhai
tumhare saath tumhari behen nahi bhai
jigar ka zakhm phuphi ko dikhana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
7. Tumhari zawja ko zainab sambhalti bhaiyya
ajeeb waqt hai maa ko bataenge aadaa
jo baap ke liye maa ko batana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
8. Yu zard chehra hai jaise ke jaa'n nikalti hai
mai dekhta hu kamar teri jhukti jaati hai
tere liye ye shahadat bhulana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)
9. Sadaein aati thi akbar ye hur ke laashe se
akele laasha e akbar uthaoge kaise
kaha tha aapne mayyat uthana mushkil hai
Aye hur jawaan ka laasha uthana mushkil hai..(2)