Ghazi ki kahani
- Meesum Abbas (2020)
Aye alam daar e wafa.. (2)
aye baab e hawaij
Kehti hai azadaar ki ashko ki rawani
matam ki hai awaaz, tapakta hua paani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
bachpan pe sakina ke fida kar di jawani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
1. Abbas kabhi kuch bhi nahi maanga hai tum ne
jab mashk chhidi tumne dua maangi ye rab se
aajaye isi waqt, agar maut hai aani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
2. Sarwar ne kaha jung nahi karni hai bhaiyya
yu hukm pe shabbir ke sar tumne jhukaya
aati hi nahi jaise tumhe tegh chalani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
3. Bhai ko sadaa aaqa kaha bhai na bola
bachpan mein yehi wada to madar se kiya tha
har baat ghulamo ki tarha bhai ki maani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
4. Hairaan wafa hogayi jab dekha ye manzar
tum pyaase palat aaye ho darya mein utar kar
aasan thi jis waqt bohot pyaas bujhani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
5. Sar aap ka rehwaar ki gesu mein bandha tha
naize pe bulandi bhi nahi tujh ko gawara
sar shaah ke aage na uthane ki hai thaani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2)
6. Hai arsalan o meesam ye soch ke rote
zakhmo se lahu aise bahaa ghazi tumhare
jis tarha baha mashk e sakina se tha paani
Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..