Kadyal jawa'n ki laash

- Mir Hasan Mir (2020)


Akbar.. haye akbar, haye akbar..(2)

Haaye,
ghode se girke jab ali akbar ne di sadaa
apni kamar ko thaam ke shabbir ne kaha
kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
are seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

1. Ye imteha'n za'eefi mein mujhko nibhana hai
akbar ko leke khaima e zainab mein jaana hai
raste mein ladkhadaye na shabbir ke qadam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

2. Ghurbat pe apni roya hai khud ibn e fatima
gir gir ke tay kiya hai ye maqtal ka faasla
bus hum se door laash hai akbar ki do qadam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

3. Laasha hai is qadar ke larazte hai mere haath
laasha hai ye rasool ka, akbar ke saath saath
do laashe ek saath uthaenge kaise hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

4. Is haal mein mujhe kahi'n Zahra na dekh le
haye meri kamar jhuki hui, baba na dekh le
aate hi honge meri madad ko shahe umamm
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

5. Seene mein kehke todi hai zalim ne ye sina
ab dekhna hussain ki niklegi kaise jaa'n
zalim ko ye batana hai ibn e ali hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

6. Is haal mein khayam mein jaunga kis tarha
Zainab ki kayenaat uthaunga kis tarha
Zahra ka chand karbobala mein hua hai kham
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

7. Amma ke saath milke sina maine khaich li
haatho mein ab hamare wo taaqat nahi rahi
Abbas kya gaye mere bazu hue qalam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

8. Baahein gale mein daal di akbar ne jis ghadi
ibn e ali ne roke takallum sadaa ye di
saanse bachi hai ab mere akbar ke paas kam
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam

kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum
seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam