Abbas ka Alam

- Shahid Baltistani (2020)


Aye alamdaar e hussain... wa abbassa
wa abbassa, abbassa..(2)

Parcham e abbas hi parcham e islam hai..(2)

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(3)

Ye parcham e nabi hai..(2)
humko hai jaa'n se pyaara
Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

1. Humza e Murtaza ne, Jafar ne bhi uthaya
abbas tak ye parcham yu haath o haath aaya
baazu katake isko..(2), abbas ne sawara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

2. Do tukde chand kar de panje mein itna dum hai
taara jaha'n pe utra, us ghar ka ye alam hai
uski bulandiyo par..(2), qurbaan chand taara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

3. Pabandi sarhado ki naa qaid hai zubaa'n ki
bus ye khususiyat hai abbas ke nishaa'n ki
duniya mein ye alam hai..(2), mazloom ka sahara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

4. Saanso ki dor iski dori se hi bandhi hai
baab e karam yahi hai, baab e ataa yahi hai
isse muraade lene..(2), aaye jahaan saara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

5. Chauda so saal se hai iski yahi kahani
yeh fatha ki hai aayat, yeh jeet ki nishani
isko uthane wala..(2), haarega na aur na haara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

6. Islam ka ye parcham Allah iska zamin
kab se utar rahe hai sar momino ke lekin
apne gharo se humne..(2), parcham nahi utara

Abbas ka alam hai, qaumi nishaa'n hamara..(2)

7. Abbas ka ye parcham ab tak lahu bhara hai
zainab se ye takallum Mahdi tak aagaya hai
laenge saath apne..(2), Qaem ise dobara

Abbas haye abbas, haye abbas, haye abbas

Alam bhai ka lahu mein bhara
utha laye jab shahe karbala
qayamat bapa haram mein hui
tadapne lagi nabi zadiya'n
suni jab sakina ne ghum ki khabar
tadap kar ye pucha kaha'n hai chacha
kaha shahe dee'n ne mera ghar luta
sakina tumhara chacha naa raha

Yateemo ka jab suna ye baya'n
tadapne lagi nabi zadiya'n
yateemo se ye kaha shaah ne
wasiyat ye thi mere bhai ki
na le jana khaimo mein laasha mera
hai pyaso se sharminda unka chacha
ye kehkar alam, behen ko diya..
ye kehkar alam, behen ko diya..
takaza kare na koi pyaas ka
alam hi janaza hai abbas ka
alam hi janaza hai abbas ka
sakina tumhara chacha na raha