Qasim Qasim kar ke roti hai farwa
- Shozab Abbas (2020)
Haye Qasim
Haye Qasim (2)
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Tujh ko raas na aaiye (2)
Mehendi na sehra
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Dil Mein aas thi tere shagan manaoungi main
Hasrat thi kay dulha tujhko banaoungi main
Laikin shayad qismat ko (2)
Manzoor ye na tha
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Pani par thai pehre mehendi yun rang layee
Maa behno'n phuppiyu'n ne ashko'n se hai sajayee
Khaak mein mil kar wo mehendi (2)
Ban gayee khaake shifa
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Aas badi si teri saij sajawa'ngi main
Raj raj kay shadi de shagan manawangi main
Aasaa'n dil wich rehgayya'n (2)
Wain kare dhukhya
Qasim Qasim Ker Kay Rondi Ae Farwa (2)
Maqtal mein kya qasim tera haal huwa hai
Ghodo'n ki tapo'n se tu pamaal huwa hai
Har tukde pa roti hai (2)
Kar kay bain qaza
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Khaime kay dar se ye maa ne dekha manzar
Har janib maqtal mein barpa tha ik mehshar
Tukda tukda qasim ka (2)
Chunte thai maula
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Qasim banra tenu khushiya'n raas na aaeya'n
Hai baraat ne teri sir wich mitya'n paeya'n
Naal qaza par naij gayu'n (2)
Khoon di mehendi laa
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Khoo'n alooda qhatdi khaimo'n mein jab aaeyee
Tukde chun kar maa ne ik tasveer banayee
Ahle haram mein dulha ka (2)
Matam tha barpa
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Tukde tukde hoya bewa da sarmaya
Ghatdi chaake syed jad khaime wich aaya
Bibiya'n raj matam keeta (2)
Qasim banre da
Qasim Qasim Ker Kay Rondi Ae Farwa (2)
Tum bhi Jawad o Shozab mango dua ro ro kay
Kaash kisi ka aise ghar aabad na ujde
Ujad gaya hai ghar jaise (2)
Hassan ki bewa ka
Qasim Qasim Ker Kay Roti Hai Farwa (2)
Roti Hai Farwa (2)