Baba sakina yateem hogayi

- Shozab Abbas (2020)


Haaye
Baba Sakeena yateem Hogayi (4)

Ye Shame ghariba'n qayamat huwi 
Tamache lage sar se chadar chihni
Koi khaima baba na baqi raha
Kay mein aasra dhoondti reh gaee
Har gam tumko sada meine di

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Na pucho Kay kaise ye daman jala
Na pucho ye khoo'n kaise jari huwa
Badan kaise Qasim ka chahlni huwa
Chihda kaise Asghar ka nazuk gala
Poochoh na kya kya musibat padi

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Bayan kya karooñ baba wo saqhtiyaa'n 
Kay mere gale mein bandhi reesma'n
Kisi ne bhi mujhpar na khaya taras
Layee'n khoob dete rahe jhidkiyan
Muqaddar pa apne mein roti rahi

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Wo dushwaar raste khatin marhale
Jahan har qadam par tamashayee thai
Shamjhte hamara wo kya martaba
Hame baaghi kehkar wo haste rahe
Magar bad'dua meine hargis na ki

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Wo bemaar bhaiyya mera natawa'n
Pahen kar jo chalta raha bediyaa'n
Ye kehta raha ham hain aale eba
Na dekho ye zehra ki hain betiyaa'n
Kamar uski aey baba qam hogaee

Baba Sakeena yateem Hogayi(2)

Huwa raah mein taiz jab qafila
Toh naqe pa mujhse na sambhla gaya
Kaeyeen baar mein khaak par gir gaiye
Har ek baar aagosh mein le liya
Baqqaiyya se aati thi dadi meri

Baba Sakina yateem Hogayi (2)

Sitamgar kay darbar mein jab gaye
To aey baba ghanton khade ham rahe
Huwa meri ghairat ka phir imtehaañ
Sada kisko deti bulati kisee
Mein baba kaneezi mein maangi gaee

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Tumhare bina baba kyun kar jiyun
Yateemi kay taane mein kyun kar sahun
Darate andhere hain zindaan kay
Mein zinda'n mein kya apna dam tod dun
Kay ab khaak hai ye meri zindagi

Baba Sakeena yateem Hogayi (2)

Aey Qaisar likho shaam ka majera
Aey Shozab padho tum ye noha sada
Sakeena ko baba ka sar jab mila
To mooh rakh kay baba kay mooh par kaha
Baba Sakeena yateem Hogayi

Baba Sakeena yateem Hogayi (5)