Shahe mardaa'n shere yazdaa'n

- Shadman Raza (2020)


Ya Ali Maula, Haider Maula..(3)
Shahe Mardaa'n..(3)
Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

1. Kis tarha chalti thi ran mein tegh e shere kirdigaar
ashqiya'n mein har taraf se al amaa'n ki thi pukaar
kar chuka jab zer marhab ko shahe dul dul sawaar..(2)
aa rahi thi ye sadaa deewar o darr se baar baar

Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

2. Jis tarha koi khuda e paak se bartar nahi
jis tarha koi rasulallah ka humsar nahi
ek hai duniya mein haider, dusra haider nahi..(2)
misle haider ye kisi ki tegh mein jauhar nahi

Ek taraf saari ibadat, ek taraf haider ka waar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

3. Yaad karlo door kyu jaate ho kal ki baat hai
jung ke maida'n mein kaam aaya wo kiski zaat hai
mehwe hairat muttasil lashkar se kayenaat hai..(2)
fatho nusrat aaj bhi naam e ali ke saath hai

Goonjta hai, haideri naaro se dashte kaargaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

4. Kaam aaya phir wohi jab sakht aaya imtehaa'n
naam se jiske larazte hai zameen o aasmaa'n
laakh jalta ho Ali ke karnamo se jaha'n
sab se afzal aaj hai duniya mein haider ka nishaa'n

Aaj bhi sajti hai seeno par yehi yaadgaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

5. Juz ali tha kaun haq ke waste seena sipar
kaun uth-ta tha rasulallah ki awaaz par
kisne qurbaa'n kar diya rahe khuda mein apna ghar..(2)
is haqeeqat se bhala hum kis tarha phere nazar

Hai isi aawaaz par, takbeer ka daro madaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

6. Kehte the aun o mohammad madar e ghumkhwaar se
is tarha jung mein ladenge lashkar e kuffar se
sab hume tashbeeh denge jafar e tayyar se..(2)
bach pe jaa payega koi kya hamare waar se

Khaich denge tegh se hum badr ke naksh o nigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

7. Kya koi rokega humko matam e shabbir se
baandh de koi hume gar aahni zanjeer se
muttasil ho jaye gardan bhi agar shamsheer se..(2)
kyu na ho mehshar aqeedat shah e khaiber geer se

Ya ali keh denge jab lag jayegi khanjar ki dhaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)

Shahe Mardaa'n, shere yazdaa'n, quwat e parwardigaar
La fatah illa ali la saif illa zulfiqar..(2)