Maa ka nauha tha naujawan akbar
- Miscellaneous (2014)
Maa ka nauha tha nawjawa Akbar
So gae khaak par kaha Akbar
Uththo tasleem ko duae de
Tumko ye saari bibiyaa Akbar
Ab nahin hay bajuz khuda koi
Ek Aabid hay naatawaan Akbar
Kya bataaenge ham aseero ko
Yaad aae kahaa kahaa Akbar
Chor kar chal basee Sakina bhi
Mujhko be haal be kashaa Akbar
Har masaaeb par Sabr o shukr kiya
Ham gae hay jahaa jahaa Akbar
Ham ko Zindaan e Shaam me aadaa
Le gae hay kasha kasha Akbar
Saare ghar bhar ka aasraa tum ho
Kaun de ab tasalliyaa Akbar
Sun sakoge agar sunaaoo may
Dukh bhari apni daastaa Akbar
Ham ko darbaar e shaam me aadaa
Le gae hay kahaa kahaa Akbar
Mar gaee qayd me Sakina bhi
Ek Aabid hay naatawaan Akbar
Tum ho kausar pe ham aseero me
Tum kahaa ho aur ham kahaa Akbar
Hay tumhaare bagayr Zainab ki
Zindagi jayse Raaegaa Akbar
Shakl Ahmad teri jawaani par
Ro rahe hay ye do jahaan Akbar