Dard-e-jigar
- Farhan (ALI WARIS) (2002)
Dard-e-jigar
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
- Teri Qabr-e-Peh Amman(s.a.) Dard-e-Jigar Sunaaon
Yeh Khoon Bhara Kurta Kaisay Tujhay Dikhaaon - Amman(s.a.) Yeh Aik Kurta Samaan Mein Bacha Hai
- Amman(s.a.) Libaas-e-Kohna Manga Tha Jab Akhi Nay
- Amman(s.a.) Tera Gulshan Karbobala Mein Ujrha
- Amman(s.a.) Meri Rida Ka Zamin Jo Eik Jari Tha
- Amman(s.a.) Woh Shaam Walay Nana(s.a.w.w.) Kay Ummati Woh
- Amman(s.a.) Tumhari Beti(s.a.) Woh Kaam Kar Kay Aai
- Amman(s.a.) Ridaen Sar Say Cheni Gaein Hamari
- Amman(s.a.) Mein Shaam Jakar Zinda Rahi Hoon Kaisay
- Amman(s.a.) Main Thak Gai Hoon Seenay Say Ab Lagaalo
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Meray Akhi Ka Kurta Lahoo Bhara Hai
Marqad Mein Is Ko Rakh Lo Soghaat-e-Shaam Samjho
Tum Is Ko Piyar Karlo Aankhon Say Mein Lagaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Mujhay Tha Maara Us Waqt Zindagi Nay
Mein To Samajh Gai Thi Marnay Chala Hai Bhai(a.s.)
Woh Dastaan Sunakar Mein Khud Hi Mar Na Jaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Tera Kunba Seh Roz Raha Piyasa
Khaimay Jalay Hain Amman(s.a.) Looti Gaein Ridaen
Main(s.a.) Dastaan Safar Ki Kia Kia Tujhay Bataon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Woh Mera Bhaiyya(a.s.) Jo Aks-e-Haidery(a.s.) Tha
Baazoo Qalam Tha Usk Ka Ghum Ko Bhi Ghum Tha Us Ka
Us Khoon Bharay Alam Ko Palkon Peh Mein Uthaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Qasam Khuda Ki Thay Is Qadar Shaqi Woh
Bachchon Peh Zulm Kar Kay Khushian Mana Rahay Thay
Rahon Mein Marnay Walay Bachchay Kahan Say Laaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Wahan Bhi Mein Nay Farsh-e-Aza Bichaai
Kehtay Hain Jis Ko Zindaan Us Ki Zamin Thi Hairaan
Khud Keh Keh Raha Tha Zindan Farsh-e-Aza Bichaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Safar Ki Khatir Be Parda Thi Amari
Pathar Baras Rahay Thay Sar Say Lahoo Tha Jari
Haal-e-Safar Sunakar Ab Kia Tumhein Rulaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Safar Ki Sakhti Zahir Hai Bazoon Say
Bazoo Peh Jo Nishan Hain Soghat Hain Safar Ki
Chehray Ki Gard Apnay Kis Tarha Say Chupaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2
Amman(s.a.) Mujhay Khudara Pehloo Mein Tum Sulaalo
Tukhrhay Jigar Hai Mera Kaisa Safar Hai Mera
Tum Hi Bataao Amman(s.a.) Kab Tak Main Chalti Jaaon
(Amman Mein Aai Hoon Amman Mein Aai Hoon) x2