Behno ke saamne
- Shahid Baltistani (2020)
Ya Hussain, Ya Hussain..(2)
Ya Hussain..(4)
Ya qateel e jafa.. Haye ghareeb Hussain..(2)
Haye ghareeb Hussain..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno, ke saamne..
Khanjar tale hussain ne ghazi ko di sadaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
1. Wo jaanta hai aale nabi hai khadi hui
Qura'n pe pao'n rakhta hai zalim ghadi ghadi
Zulfein pakadke shaah ki hasta hai be haya..
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
2. Khanjar wo kund aur woh sukhi hui ragein
chup chap sehli bhai ne saari aziyatein
majburiyo ne sheh ko tadapne nahi diya
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
3. Baba ko maarta hai wo daulat ke waaste
hai jiske paas jo mere daaman mein daal de
phaila ke haath deti hai bacchi koi sadaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
4. Kaise bachane bhai ko wo bhai aayega
zainab pukari ab use koi na de sadaa
sharminda hoga dasht mein abbas e bawafa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
5. Sheh keh rahe the daaldo chadar ko jism par
mujh par padhe na zainab o kulsoom ki nazar
tey kaise hoga qatl ka amma ye marhala
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
6. Har beti buturaab ki ye dekhti rahi
do bhaiyo'n pe kaisi qayamat guzar gayi
ek ke badan mein teer the, teero'n pe ek tha
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
7. Tha karbala ke ban mein takallum ajeeb haal
apne lahu mein laal hua Fatima ka laal
sajde se sar hussain ka naize pe aagaya
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein ek bhai ka galaa
behno ke saamne..
Kaata gaya hai dasht mein...
Ya Hussain, Ya Hussain..(2)
Ya Hussain..(4)