Khuda khair kare
- Nadeem Sarwar (2020)
Khair kare, khuda khair kare..(2)
Us taraf zulm pe aamadah zamane wale..(2)
Is taraf saare Mohammad ke gharane wale
Kaun kiska hai tarafdaar..
Khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar, khuda khair kare
Ye qayamat ke hai aasaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
1. Roze ashoor hawaao'n se barasta hai lahu..(2)
lut gayi kiski ye sarkaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
2. Ye to mumkin hi nahi hai ke jhuka dein sar ko..(2)
kya kare sahib e kirdaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
3. Bhai jaate hai khuda hafiz o nasir kehkar..(2)
behne kehti hai ye har baar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
4. Wo jo ghode se gira saath gire mashk o alam
na alam hai na alamdaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
5. Kitne sadme hai jo sajjad ko sehne hai abhi..(2)
bediya'n hoti hai tayyar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
6. Aaj bhi seeno mein zinda hai hussain ibn e ali..(2)
saara aalam hai azadaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
7. Aane wale yuhi aate rahe rozo'n pe sadaa..(2)
kam na ho aapke zawwar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
8. Sheh ke matam mein hilaal aisi fiza gunj uthi..(2)
hue larza dar o deewar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
Ye qayamat ke hai aasaar, khuda khair kare
Karbala hogayi tayyar
Khuda khair kare
Khair kare, khuda khair kare..(2)