Azadar e Hussaini
- Syed Dayeem Raza (2020)
Mai Azadare Hussaini hoon mere ye hai Dua
Mere Maula mujhe mauth aaye saare Karbobala
Turbath e shah e shahida pe lipat kar roluñ.
Jo Baheñ ashek-e-aza un se ghunah sab dholun.(2)
Matam-e-shah karu'n shaha ke Roze'y pe bapa!
Qabr e Akbar pe padho'n nohaye hamshakle Nabi.
Barchi jis Sher ka Maqtal me jigar cheer gayi.(2)
Sadqa hamshakle Paymber ka hoo muhj pe ye atta!
Dhekhu'n basti wo jisse Karbobala khehty hain.
Khak wo jo mohu jisse khak e shifa khehty hain.(2)
Zarre zarre pe karu'n sajdaye tazeem a'daa!
Turbat e Asgher besheer pe pani chidh kuu'n
Uss se shayed dil e masoom ko miljaye suko'n.(2)
Mujh ko mil jaye gi uuun bali Sakina ki Dua!
Roza e Hazarth e Abbas pe padh tai he nazar.
Rakh dou'n dhelez e Alamdar pe tazeem ko sar.(2)
Mere lab par ho nida haye Alamdar-e-Wafa!
Hur, Habeeb-ibne-Mazaher ke wahab,Jaun,Sayeed.
Jis jagha hogaye Shabeer ke ashab shahid.(2)
Yahi hasrat se karu'n mai bhi wahin jaan fida!
Qatl gah e shaye mazloom pe karke girya.
Mai padho'n rooke Hussain-ibne-Ali ka noha.(2)
Kash uss waqth ho pu'uri ye mere dil ki sada!
Bola jawwad tere khaz inayat hogi.
Maut bhi mere liye Maula ibadat hogi.(2)
Teri jagir me lasha hoo agar dafn mera!
Mere Maula Mujhe Mauth aaye Saare Karbobala!
Mai azadare Hussaini hoon mere ye hai Dua
Mere Maula Mujhe mauth aai saare Karbobala (2)