Khoon roti hai bediyan
- Syed Dayeem Raza (2020)
Zulm o sitam ka nargha hai aabid hain natawa'n
Dil par uthaye jate hain hr lamha sakhtiya'n
Baithe hain dhoop me k nahi koi sayeba'n
Koi na gham gusar hai, koi na mehrba'n
Ye wo aseer hai k aseeri bhi roti hai
Aabid pa haye paon ki bedi bhi roti hai
Khoon roti rahi bedhiyan zulm abid pe hota raha
Hal dekha jo sajjad ka
khoon Roti rahi bedhiyan..
Har khadam khak per tha saffer
chal raha tha wo qasta jiger
Har khadam thi jafa per jafaa
khoon roti rahi bedhiyan..
Uska sukha hua tha gala
jab sakiana ko panni mila
Uss ne bedi ko tar kardiyaa
Khoon roti rahi badiyan
Pust pe durre khate hue
Haye girte sambhalte hue
Jab kiya usne sajda aada
Khoon...
Margayi qaid me jab bhain
dast sajjad me thi rasan
Dafn kaise bahen ko Kya....
Waqt us per khaymat ka hai
kaise baba ka matam kare
Hath hai hathkadhi me bandaha
Rahe kufa me jab ya khuda
usko baghi pokara gaya
Haye abid nahi roo Saka
Arsalan azmi kya likhun
umr bhar padh ke Rota rahun
nahiya me hai likha huwa
Khoon roti rahi bedhiyan..