Baba na ab ayenge sakina
- Syed Dayeem Raza (2020)
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Bhoolna Jana Bhoolna Jana
Meri Wasiyath Bhoolna Jana
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baad Hamare Rukh Pa Tumhare
Ahle Sitam Maarenge Tamache
Har Ik Qadam Barsayenge Durre
Chain Se Tumko Sone Na Dengay
Jo Bhi Sitam Ho Sabr Ka Daman (2)
Haath Se Apne Janena Dena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Beti Sakeena Aaj Se Apna
Sone Ka Bhi Andaaz Badalna
Tumko Qasam Hai Zid Nahi Karna
Chain Se Maa Ki Goad Mein Sona
Ab Na Milega Ab Na Milega (2)
Ab Na Milega Baba Ka Seena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Beti Hamare Baad Jalenge
Zulm o Sitam Ki Aag Mein Khaime
Dashte Bala Mein Khouf e Sitam Se
Bacche Bhikher Jayenge Hamare
Tumko Rula Ker Durre Laga Ker (2)
Chehnega Gauhar Shimre Kameena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Bara Gale Ik Rassi Mein Kasker
Kheench Ke Le Jayenge Sitamgar
Paoun Barehna Aur Khule Sar
Denge Aziyat Rah ke Pather
Sabr Ke Joher Beti Dikhana (2)
Seh Ke Sitam Ummat Ko Bachana
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Tanha Sitamgar Pushte Shuter Per
Bandhenga Tumko Rassi Mein Kasker
Khoone Jigar Tapkega Zameen Per
Khoon Ke Ansun Roeyegi Madar
Koi Na Hoga Poochne Wala (2)
Charon Taraf Dushman hai zamana
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Tumko Wahan Le Jayenge Aada
Aake Kaneezen Bikhti Hain Jis Ja
Koi Wahan Patthar Dil Hoga
Tumko Kaneezi Mein Maangega
Shukre Khuda Lab Per Le Aana (2)
Aisi Museebat Bhi Hai Sehna
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Piyas Ki Shiddat Se Aaenge
Kaante Zaban Per Hulq Mein Chahle
Jism Ke Aaza Kaanp Uthenge
Ankhon Mein Bhi Aajaenge Jale
Iska Kisi Se Shikwa Na Karna (2)
Beti Mere Maqsad Ko Bachana
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Baba Na Ab Aaenge Sakeena
Roeyenge Zahid Kyun Na Tadap ker
Kyun Na Hassan Tadpenge Baraber
Ho Gaeye Tanha Shah Ki Dukhtar
Ho Gaeye Rukhsat Keh ke YE Sarwar
Beti Bhare Darbar Main Jana
Aage Sitam Ke Sar Na Jhukana