Aagayi binte ali
- Lahore Party (1999)
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2)
ro rahee hai woh gunahgaro'n mein

Kaun jaanay ke yeh hai kaun, rasan pehne hue
Berida roti hai sajjad ke peeche chup ke
Siskiya'n doobi hai jis Bibi ki
Haye zanjeero ki jhankaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
Haye Zahra teri kismat na mila Haqq tujhko
Aisi tazeem teri ki hai musalmano ne
Tera Haqq maangne aayi Zainab
Ek maynosh ke darbaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2)
ro rahee hai woh gunahgaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
Kaha Zainab aur kaha shaam me logo'n ka hajoom
Sar barehna oonchi awaaz mein khutbe padhna
Qatlay mursal ka hawala dekar
Chadare Mangna badhkaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
Aag Khaimo'n ko Lagi aur the Sajjad be hosh
Roro Abbas ko deti thi sadayein Zainab
lootlo chadare Saydaniyo ki
Shor barpa tha sitamgaro mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
jis ne sooraj nah kabhi dekha tha..(2)
ro rahee hai woh gunahgaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
Jis tarha bali Sakina aaj Baba ke beghair
Sogayi chayn se tanhhai mein rote rote
Hichkiya'n dab gayi Masooma ki
Haye zindano ki deewaro'n mein
Aagaye binte Ali, berida haath bandhe, bharre bazaaron mein
Jis jagah Majlis-e-Shabbir ho barpa Akhtar
Chhod Kar dukhiya waha'n roti hai Zahra aakar
Baal Khole hue sar peet-ti hai
Apne pyaaro'n ke Azadaaro'n mein