Pareshan Na Ho Hussain
- Rizwan Rizvi (2020)
maaN aa gayii hai ran meN pareshaaN na ho hussain
seeney se nau jawaaN ke sinaaN kheNch lo hussain
ab edhiyaaN ragharhtaa hai zainab kaa ladlaa
akbar ke paas waqt ziyaadaa nahiiN rahaa
Khaamosh kyoN ho beTey se baateiN karo hussain
larzey na haath seeney se barchii nikaal lii
ro ro ke de raheN haiN duaaeN tumheN nabii
kyaa kaam tumme kar diyaa jeetey raho hussain
kyaa tum pe ran meN guzrii hai, zainab ko kyaa khabar
gabhraa na jaaye khooN bharey haathoN ko dekh kar
chaadar se merii khoon e pisar poNch lo hussain
daaRhii safaid ho gayii kyaa haal ho gayaa
maaN sadqe jaaye sabr karo mere dilrubaa
qabr e nabii laraztii hai aise na ro hussain
maiyyat jawaaN ki aur ye TooTii huyii kamar
kaise karoge khaima e zainab talak safar
meiN haath thaam letii hooN ran se chalo hussain
ye imtehaaN akeley tumhaaraa hai maaN nisaar
dariyaa pe uski laash taRhapti hai baar baar
ab mere baawafaa ko sadaaeN na do hussain
kyaa kyaa sitam uThaa ke gayii hai tumhaari maaN
TooTii huyii haiN aaj bhii ammaaN ki pasliyaaN
tum faatemaah ke beTey ho himmat karo hussain
lagtaa thaa rooh e zehraa takallum ye kehtii thii
khaimey se aa na jaaye kahiiN merii laadlii
maiyyat uThaao yaa Ali keh kar uTho hussain