Abbas ka laasha

- Irfan Hussain (Bangalore) (2020)


Karbobala mein dekh ke bikhre hue laashe
har laashe besar par bohot royi hai Zahra
sar saare shahido ke jab aaye sare naiza
Zahra ne kahaa dekhke abbas ka laasha
Haye shaam, Haye shaam..
Haye bazaar, Haye ghairat e abbas

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

Sab ko lahu rulwata hai..(2) abbas ka laasha
Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

1. Sambhla na gaya laashe pa Zahra ne giraya
phir seene se laashe ko yehi kehke lagay
shabbir ke laashe sa hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

2. Jaise hi kaha shaah ne shero mere uttho
labbaik kaho uthke hussain ibn e ali ko
ye sunke bohot tadpa hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

3. Barsaat tamacho ki sakina pa hui hai
had zulmo sitam ki ye yatima pa hui hai
har zulm pa sar patkha hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

4. Sarwar ne wilayat ke liye sar ko kataya
asghar ne wilayat ke liye teer hai khaya
paigham yehi deta hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

5. Khaime jo jale roke ye zainab ne sada di
ghazi na raha chin gayi behno ki rida bhi
ye dekh ke khoo'n rota hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

6. The zakhm bohot sar pa tere aye mere ghazi
nauha ye padha karte hai tanhayi mein Mehdi
khoo'n ghaib mein rulwata hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)

7. Irfan se kehta hai jo ghum aale nabi ka
nasir ho ya ho koi bhi ghumkhwaar ali ka
har lafz pa yaad aata hai..(2), abbas ka laasha

Naizo pa nazar aata hai abbas ka laasha..(2)