Sakhtiyan shaam ke zindan mein
- Mir Kareem Abbas (Bangalore) (2020)
Saqtiyan sham ke zindan me uthane wali
Sugayi sog bhare, Ghar ka manane wali
1. Oont ki pusht pe zalim ne use bandha tha
Tha badan zaqmi sabhi aur lahu behta tha
Zulm pe zulm har ek aan uthane wali
Saqtiyan sham ke zindan
2. Kya yateemon pe yunhin zulm Huwa karte hain
Milne zindan me Ammu bhi nahi aate hain
Haye zindan me Ammu ko bulane wali
Saqtiyan sham ke zindan
3. Aag daman me lagi chine gaye the gohar.
Khoon kanon se baha gham ka ajab tha manzar
Lashe shabbir pe is haal me jane wali.
Saqtiyan sham ke zindan
4. Zulm aada ne Jo dhaye wo bataye kisko
Haddiyan toti huwi apni dikhaye kisko
Apne zakhmon ko biradar se chupane wali
Saqtiyan sham ke zindan
5. Roke kehti thi ke kab jayengen hum apne watan
Yaad ati hai bahuth Bhai mujhe apni behen
Yade sughra me Jo ashkon ko bahane wali
Saqtiyan sham ke zindan
6. Leke hathon pe sakina ka janaza abid
Dare zindan pe karte Rahe girya abid
Kehte the Bhai ko durron se bachane wali
Saqtiyan sham ke zindan
7. Agayi sham ke zindan me sakina ko qaza
Labe sajjad se ati Rahi paiham ye sada
Aaj khud sogayi asghar ko sulane wali
Saqtiyan sham ke zindan
8. Ghurbathe Bali sakina pe Kareem rota hai
Khuld me aaj tufail hashr bapa hota hai
Jhula besheer ka khaubon me jhulane wali