Parda duniya ko sikhane wali

- Raza Abbas Shah (2010)

Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

Ghar se Bahar bhi na aane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab

Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

1. Jisne baba se chhudae the kayi baar aseer..(2)
Qaidi azaad karane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

2. Jalte khaimo se utha layi abbas ke baad..(2)
Ali abid ko bachane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

3. Deen ki khaatir ye bibi saalar bani..(2)
banke abbas dikhane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

4. Apne seene pe sakina ko zindano mein..(2)
baad bhayi ke sulaane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

5. Nange sar padhi rahi khutbe bazaaro mein..(2)
Kasre dushman ko hilane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

6. Jis ko suraj ki kiran ne bhi nahi dekha tha..(2)
Asmaa ko bhi rulaane walli..(2) Aayi bazaaron mein Zainab
Parda duniya ko sikhane wali aayi bazaaron mein Zainab..(2)

7. Kufi aur shaam bhi sare gaye ye maan "johar"..(2)
Azmate dee'n ko bachane wali..(2) aayi bazaaron mein Zainab