Karbala ki yaad

- Yousuf Raza (2020)


Majlis wo matam alam tabooth ghar ghar dekh kar
Karbala ki yaad ati hai ye manzar dekh kar 

2. Shukar ka sajda kiya Zainab ne jalti khaak par 
Donoo bachoon ke janazee khoon me tar dekh kar 

3. Gir padhin jalti zamin par muo ke bal ummerubaab
Daste shahe karbala  pat lashe Asghar  dekh kar 

4. Chagaya  shahe ki  nighahoon me andhera har taraf 
Nowjawan bete ki maiyath  khoon me tar dekh kar

5. Khoon barsa andhiyaan chalne lagi tofaan utha 
Bosgahe Mustafa ko zere khanjar dekh kar

6. Sona jangal tha sakina ro Rahi thi zaar zaar
Shahe ki maqtal me barehna be sar dekh kar

7. Nouke  naizah par sar  Abbas ka ruk paata na tha
Narghae aadaa me Zainab ko khule sar dekh kar

8.  Qabr me bole malak aye  maherban  yusuf mujeeb 
Ham bahut khush hain tumhare ruq munawar dekh kar