Haaye Sakina (sa)

- Rizwan Rizvi (2020)


nanhii sii lahad shaam ke zindaaN meN banaa ke
maaN lauT ke jaati hai sakinaa ko sulaa ke

eak tasht meN aayaa hai jo __saamaan e rehaayi
abbaas kaa sar bhii hai sakinaa ke gauhar bhii
sar rakhhey kahaaN duur kahaaN maaN rakhhey cHhupaa ke

rassi se jhakaRhte kabhi ___khaaroN pe chalaate
har roz sazaaeN nayii oos bachhi ko dete
mAani bhii samajhtii na thii jo bachhi sazaa ke.

kal tak thii jo lorii wahii ab ___ho gayaa nauhaa
on baatoN ko jab sochtii dil kaTtaa thaa maaN kaa
dil bachhi kaa behlaatii thii kal tak jo sunaake.

abbaas ke mashkizey ko __nezey pe uThaate
baateiN kabhi ghaazi kii shahaadat ki sunaate
khush hote rahey shaami sakinaa ko sataa ke

baazaar meN eak aur __musibat thii ye guzrii
le aate they aulaad ko baazaar meN shaami
bachhoN ko haNsaate they sakinaa ko rulaa ke.

baaqar ke liye wo bhii tau ___zainab ki tarah thii
dam toRhte lamhoN meN sajjaad se boli
le jaanaa kisi tarah se baaqar ko bachaa ke

akbar jo lahad aabid e ___muztar ne banaayi
woh miTTii bhii turbat meN sakiinaa ke milaayi
thii miTTii jo zindaan meN kaam aayi ridaa ke