Aye mere kadiyal jawan

- Syed Raza Hussain Rizvi (machilipatnam) (2019)


aye mere beta (x2)

aye mere kadiyal jawan (x4)

ek zaif baap jo bete ke lashe par buka

aye mere kadiyal jawan (x4)

(1) Tu mere nana rasool allah,
       jaisa hai shabi
       tujhko athara baras pala,
       tha teri wo phuphi
kuch batau tum pe ye zulm,
jo kaisa hogaya

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)

(2) maine hi tumko kaha tha,
      peeche mod kar dekhna
      ek zaif baap jo goothniyou,
       se ataraha
arsh par rote malaik aur rote hai ambiya

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)

(3)kaise lejaun tera lasha,
     waha khaimo tak jaan
     kya batao teri maa ko
     kaise hogaya ye haal
hai waha khaimo ke dar par,
hai khadi wo teri maa

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)

(4) jisko thi ek arzo jo,
     dekhna sehra tera
     wo bhala dekhi kaise,
     khoon bhara chehra tera
wo na ji payegi wo dukhiya,
aye akbar teri maa

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)

(5) jab hussain ibne ali ne laaye,
      lasha e pisaar 
      zainab e muztar jo pohanchi,
      karne bhaayi ki madad
dekhkar chillai zainab,
aye mere akbar jawan

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)

(6) aye raza kis tarha akbar,
      ko wo barchi jo laagi
     dekhkar wo maa aur zainab
      haye wo roti rahi
aur hussain ibne ali ko,
ankho se ansoun rawaan

aye mere kadiyal jawan (x2)
ek zaif baap jo bete ke lashe par buka 
aye mere kadiyal jawan (x2)