Abbas mar gaye ali akbar juda hua
- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)
Haye Hussain, haye hussain
haye tanhayi meri, haye tanhayi meri, haye tanhayi meri
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
1. Wa hasrata ke toot gayi hai meri kamar
wa ghurbata ab aankho'n se aata nahi nazar
jeene ka ab jawaaz hamare nahi raha
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
2. Khali alam utha ke mai khaime mein le gaya
laaya hu tanha laasha e hamshakl e mustafa
ek dopahar mein hum pe sitam kaisa hogaya
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
3. Ghazi ke tukde dekh ke, tukde hua jigar
daadhi safed hogayi akbar ki laash par
ek dopahar mein hum pe sitam kaisa hogaya
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
4. Kehte hai ab bulaiyye imdaad ke liye
bolo hussain akbar o ghazi kaha'n gaye
dete hai taane purse ke badle ye ashqiya'n
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
5. Socha tha mujhse aake kahenge ye kalma goh
dono ka pursa dene hum aaye hai aapko
hasrat ye leke qabr mein mazloom jayega
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
6. Mar jaye gar kisi ka koi bhai ya pisar
usko dilase dete hai sab log maut par
haye magar hamari ghareebi ki intehaa
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
7. Charo'n taraf hai teero ki bochar dekh lo
hum par sabhi uthate hai talwaar dekh lo
zainab batao ab kaha'n jaakar kare gila
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum se kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
8. Khanjar tale bhi sheh ko takallum yahi tha ghum
kitne ghareeb hogaye karbobala mein hum
khanjar rawa'n tha padte the maula ye marsiya
Abbas mar gaye ali akbar juda hua
hum e kisi ne ye bhi na pucha ke kya hua..(2)
haye tanhayi meri, haye tanhayi meri, haye tanhayi meri