Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba
- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)
Tasht mein shaah ka sar qaid mein jab laaya gaya
roke chillayi sakina, dare zindaan khula
nabz se haath hatao zara amma dekho
mai na kehti thi ke aaye hai padar lene ko..(2)
god mein baap ka sar leke sakina boli
baba ek baar bhi tum ne na khabar li meri..(2)
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
Kya yaad sakina tumhe, aayi nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..
1. Yaad aata hai wo aapka seene pe sulana
muh choomna aur god mein shafqat se bithana
nanhe se mere haatho'n ko aankho'n se lagana
ab puchne wala mera, koi nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
2. Farmaya tha yeh aapne matti pe sula kar
sojana jaha'n tujhko sulaye teri madar
ye dekhiye baithi hu mai zindaa'n ki zamee'n par
mai aaj bhi is baat ko, bhuli nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
3. Deta tha saza shimr yu baalo'n se pakadkar
daudaye chala jaata tha rahwaar sitamgar
majboor thi daudu yuhi ghodo'n ke barabar
haalat wo meri aapne, dekhi nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
4. Mai kaise kahu kaisi thi us waqt ghareebi
milne ko hamein aayi thi jab hind ki beti
pehne hue kaano mein woh mere hi gauhar thi
ramla se magar kuch bhi mai boli nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
5. Ek mod pe zalim ne sataya mujhe aise
le aaya mujhe woh sare abbas ke aage
aur saamne unke mujhe maare the tamache
sab seh gayi chup chaap mai, royi nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
6. Poti hu mai zahra ki bas ek baar kaha tha
woh sang gire mujhpe lahu itna baha tha
chehra mera maa se bhi naa pehchana gaya tha
ab ghar ka hawala kabhi deti nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)
7. Akbar kaha bibi ne kamar kham hui meri
dadi ki tarha chayi hai baalo'n pe safedi
fizza ki tarah chayi hai chehre pe za'eefi
ab jeene ki khwahish bhi to baaqi nahi baba
Tum bin kayi raato'n se mai soyi nahi baba..(2)