Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)
Sajjad haye sajjad..(4)
Kufe mein ujad kar karbal se
jab rote hue qaidi pohche
darbaar saja aur peshi hui
abid pe za'eefi taree thi
ek shaks ke jisne dekha tha..(2)
darbaar mein muslim ka aana
sajjad se kehta tha maula
muslim ko yaha'n jab laaya gaya
ba raub tha lehja, sar tha utha
sar aapka lekin nahi uth-ta
ankho'n se lahu kyu behte hai
sajjad ye sunkar kehte hai..(2)
Haye sajjad, haye sajjad..
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha..(2)
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
1. Chacha muslim ridayein maang kar roye nahi the
magar saydaniya'n bhi berida hai saath mere
wo tanha qaid hokar sar katana aur tha
ridayein dekhte naizo'n pe aana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
2. Watan se karbala tak saath saaya banke aaye
chacha abbas parde mein phupi amma ko laaye
phupi zainab ka woh mehmil me jaana aur tha
bina chadar ke yu kufe mein aana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
3. Isi kufe ke hakim jab mere dada Ali the
riwayat thi hamari, hum ridayein baat-te the
ridayein baatne ka wo zamana aur tha
ridayein maangne ka ye zamana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
4. Agar aulad wale ho to samjhoge ye sadma
meri maa dekh aayi khaak par asghar ka laasha
wo amma ka use lori sunana aur tha
jale jhule ko seene se lagana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
5. Sina seene pe maqtal mein ali akbar ne khayi
mujhe karbal se ummat hai sare bazaar laayi
sina ek baar hi seene pe khana aur tha
musalsal qatl hote shaam jana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
Han azadaro na abid ke hue sadme tamaam
baad kufe ke jo pohcha hai watan bazare shaam
qafle ki raah mein phir ek sawali aagaya
woh musafir naam jiska sehel ibn e saad tha
pucha usne khoon maula ro rahe ho kis liye?
tab ghareeb e shaam yeh, thaame kamar kehne lage
6. Sehel dekho sina ki nok par baba ka sar hai
bandha ghazi ka sar bhi gardan e rahwaar par hai
muqabil shamiyo ke un ka jaana aur tha
mera bazaar mein kham hoke jaana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
7. Sare abbas ko tab dekh kar sajjad bole
chacha apne safar ka haal kitna mukhtalif hai
wo har manzil pe khaimo ka lagana aur tha
ye har manzil pe patthar sar pe khana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
8. Ujad kar karbala se shaam tak mai aa chuka hu
khuda jaane badan par zakhm kitne kha chuka hu
chacha ke saath wo rasta banana aur tha
bandhe haatho se logo ko hatana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)
9. Sahaab asghar ki turbat sheh ne hatho'n se banayi
raza, abid ne kaise behen ki mayyat uthayi
khule hatho'n se turbat ka banana aur tha
bandhe hatho'n se mayyat ka uthana aur hai
Bhare darbaar mein muslim ka aana aur tha
mera phupiyo'n ko apne saath laana aur hai..(2)