Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar

- Shadman Raza (2020)

Haye abbas, haye abbas, haye abbas
Abbas... Abbas... Abbas.. (2)

Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar
haye haye

Uski bhi lehed bangayi..(2)
asghar ke barabar
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

1. Wo sher gira khaak pe jab pusht e faras se
be dast pe talwar o sina, teer the barse
woh waqt tha shabbir par..(2)
mehshar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

2. Tukdo mein jo shabbir ka abbas bata tha
aylaan sare dasht ye tab karte the aada
badle bhi hue badr ke..(2)
khaibar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

3. Gehna gaya ban mein bani hashim ka qamar bhi
baad uske jhuki karb se maula ki kamar bhi
jo waaste behno ke tha..(2)
chadar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

4. Naize se bhi abbas ka sar girta raha tha
dar asl taqaza tha yeh, aaqa se wafa ka
kaise wo theherta sare..(2)
sarwar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

5. Be baazu tha, be sar bhi tha, be ghusl o kafan tha
rab jaane use kis tarha abid ne sameta
tadfeen sare dasht ki..(2)
haye tukdo ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

6. Shabbir ke lashkar mein sab ashaab e jari the
ye wasf magar khaas tha, abbas ka haaye
lagta tha akela woh..(2)
bahattar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

7. Jo bughz Mohammad se tha, Zehra o Ali se
mazloom Hasan aur Hussain ibn e ali se
ghazi se liye badle..(2)
bhar ghar ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)

8. Nauhe ko 'Sahab' ek hi misre mein utara
jab shadma'n ye roza e abbas pe bola
haq tha ke lehed ho teri..(2)
Haider ke barabar
uski bhi lehed bangayi asghar ke barabar
haye haye
Zainab ka jo abbas tha lashkar ke barabar..(2)
Abbas.. Abbas.. Abbas.. (2)