Kya kya sitam guzar gaye

- Syed Raza Abbas Zaidi (2020)


Haye Zahra, haye Zahra..(2)

Masjid se ghar mein laut ke, jab aayi sayyeda
Zainab ne maa ka haal jo dekha to ye kaha

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, amma bataiye

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

Baalo ka rang badla hai, kyu jhuk gayi kamar
amma bataiye..

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

1. Kyu kar chupaye rakha hai
kya dil mein dard hai
kyu chehra zard hai,
halat tumhari dekh ke
lagta hai mujhko darr
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

2. Bus muskurate dekha tha humne tumhe sadaa
batlao kya hua,
aankhein hui hai aapki, kyu 
aasuo'n se tarr
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

3. Maine suna hai masjid mein rulwaya aapko
jhutlaya aapko
kya baat dil pe lag gayi, uthta nahi jo sar
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

4. Dar pe hamare pehle to aate the subh o shaam
karne ko sab salaam
nana ke baad phera hai, ummat ne rukh kidhar
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

5. Baba ka raaj hota to ye ghum na jhelti
ye din na dekhti
haq cheena mere baba ka, ummat ne kyu magar
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

6. Kya dard hai jo aapko, har dum rulata hai
dil dooba jaata hai
kyu roz jaake roti hai, nana ki qabr par
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye

7. Ashko ki is rawani ne, zainab ko aye raza
sab kuch bata diya
Zehra khamosh hogayi, jab is sawaal par
amma bataiye...

Kya kya sitam guzar gaye, ek din mein aap par
amma bataiye, haye amma bataiye
Haye Zahra, haye Zahra