Haaye Baabaa Tumhe Dukh Apne Sunaaun Kaise
- Rizwan Rizvi (2020)
haaye baabaa tumheN dukh apne sunaauN kaise
pasliyaaN TooT gayiiN haiN ye bataauN kaise
haath pehloo se uthaayaa nahiiN jaataa mujh se
ab meiN hasnain ko godii meN uthaauN kaise
mujh ko roney hii nahiiN detey madiine waale
terii turbat pe bhalaa aaNsoo bahaauuN kaise
meiN hooN siddiqaa, kabhii jhuth nahiiN boloNgii
ye yaqeeN ahl e madiinaa ko dilaauuN kaise
woh naqaahat hai, chalaa bhii nahiiN jaataa mujh se
ghar ke aangan meN diyaa uth ke jalaauuN kaise
dekhte haiN baRhii hasrat se ye mA'asoom mujhe
khaanaa hasnain ko haathoN se khilaauuN kaise
sharm aati hai mujhe sher e khudaa se baabaa
ye tamaachey kaa nishaaN un se chhupaauuN kaise
qabr pe ro ke takallum yehii boli zahraa
aap ke paas bataa diijiye aauuN kaise