Aur Kitni dair
- Shuja rizvi (2011)
Aur kitni Der
Ya Hujaatibnil Hasan Ajjil ala Zahoorek
Ya Sahebal Asre waz zamaan
Al Amaan Al Amaan Al Amaan
Maula rahegi Ghum ki fiza
aur kitni der...2
Ab mangni hai humko dua aur kitni der...2
Maula rahegi gham ki fiza...
Kab tak yazeedi khoon ke dariya bahaenge
kab tak ye momenin bhi izzat bachaenge
kab tak makaan humaare ye dushman jalaenge
kab tak jawaan beton ki laashe uthaaenge
marte rahenge ahle aza ....
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Aamaal ne hume ye dikhaae hai gam pe gam
Maula zahoor kijiye kuch kijiye karam
Zaalim ne qatl karke kiya hum pe har sitam
Hum hai gunehgaar magar aap ke hai hum
Milti rahenge humko saza
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Sadiya hui hai kam nahi hota hai ishteyaak
Tha jaan par to pehle hi bhaari tera firaak
Ab kam nasab humara udane lage mazaak
Mushkil me aaj kitne hai Iran aur Iraq
Hum denge Imtehane wafa
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Hum hai ana paras pisaare pur guroor hai
Hum to khumaare shohrate duniya se chur hai
Milte nahi hai wo ye humare qusoor hai
Wo humse to qareeb hai hum unse dur hai
Maula se hum rahenge juda
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Ye waqt Asr ka hai larazti hai karbala
kehti hai Fatema hai bohot sakht marhala
Gardan kati hai uski jo godi ka tha pala
Khoon behgaya hai rehgaya sookha hua gala
Pyasa rahenga laal mera
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Zindaane shaam bol wo bacchi kidhar gai
Khaae tamache usme anhdhere me dar gai
zindaan me rote rote sakina guzar gai
farzande Fatema ki azadar margai
Zindaan me hogi zoro jafa
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Darbaar shaam tak ki wo manzil kadi rahi
Beti Ali ki sharmo haya se khadi rahi
Sarpar rida nahi thi aziyat badi rahi
Sarko jhukaae saatwe dar par khadi rahi
Kehti hai Binte Shere khuda
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Faryaad kar rahi hai abhi Zainaabe Hazeen
Bazaar arze shaam wo kufe ki sar zameen
Gardan ki pusht se wo bandhe pushte naazneen
Mushkil kusha ki beti ko malum ye nahi
Sarpar nahi rahegi rida
aur kitni der
maula...
ab mangni...
Dekhi na maine ek jhalak zulfikaar ki
Hasrat rahi hai Karbobala ke mazaar ki
Aankhe khuli rahi hai garib ubteyaar ki
hichki meri hai aakhri had intezaar ki
tehri rahegi meri kaza
aur kitni der
maula...
ab mangni...
kehte hai ye imam e zaman mai hu muntazar
apno ke har amal ki magar hai mujhe khabar
tu imtehaan de sake tera nahi jigar
tayyar mai hu tu nahi tayyar hai qamar
mai muntazir rahunga tera .... 2
aur kitni der
Assalamo alaika Ya Imam e Zamana
Assalamo alaika Ya Shareekal Quraan
Assalamo alaika Ya Khalefatar Rehman