Sohna lajpaal hussain
- Farhan (ALI WARIS) (2020)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(4)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
1. Tujhko aghoshe risalat ne uthaya aise
Noor ki rehel pe quran rakha ho jaise
Chadare fatima zehra pe chupakar tujhko
bosa lete the ali aur yahi kehte the
Fitrus ko dede shifa dede par o baal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
2. Kya likhu wo tere bachpan ki adaaye wallah
Pushte nana pe nawase ka safar mashallah
Eid ke roz madine me ajab tha manzar
Daikh kar Ehle madina ne kaha bismillah
Hai ye sawaari kamaal sawar bhi kamaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Maula ya hussain hussain maula..(2)
3. Sar jhukaye jo tere dar pe pada rehta he
Tu use ishq ki parwaaz ataa karta he
Karbala jabse mujhe tune dikhai maula
Tera darwesh hawaoo me uda phirta he
Darpe guzaru tere din wahi misaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
4. Teri chaukhat me fakiri me he shaahi ka maza
Teri dehliz pe hi bigda mukaddar badla
Unche mehlo se to uncha he mera dil maula
Jisme tu rehta he aur saath tere aale aba
Is dil mein ghar he tera mai hu mala maal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain..(2)
Maula ya hussain hussain maula..(2)
5. Tere aane sehi wal asr ko tafseer mili
Yaani peshaaniye islaam ko tanweer mili
Hur ki taqdeer likhi tune ali ke baite
Us gunahgaar ko bhi khuld ki jageer mili
Aasiyo ka rakhta hai kaun yu khayaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
6. Tune is dharti pe jiss roz rakha pehla qadam
Milgaya khaak me duniya ke yazido ka bharam
Sajda e shukr risalat ne kiya ye kehkar
Ab mere qaul ki tasdeeq huwi rab ki qasam
Deen ki hayaat hussain deen ki he dhaal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
7. Aur kuch mazharo farhan ko bhaata hi nahi
Maula ab humko koi khwahish e duniya hi nahi
Tere mimber ki balandi pe khade he maula
Isse unchi koi manzil koi rutba hi nahi
Ab iss balandi ko karde lazawal hussain
Zehra ka laal hussain
Sohna lajpaal hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Sadqe jawa'n tere maula hussain
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula
Maula ya hussain hussain maula