Darr lagta hai
- Farhan (ALI WARIS) (2020)
Ab na khanjar na kisi waar se darr lagta hai
Ek shabbir ke khuddar se darr lagta hai
Isliye qaid mein mukhtaar ko rakhta hai ziyad
saari duniya ko azadaar se darr lagta hai
Uski talwaar ko uthti to qayamat hoti
jiski zanjeer ki jhankaar se darr lagta hai
Waqeya ye bhi hai tareekh ke daaman mein ajab
ek hakim ko giraftar se darr lagta hai
Qasim o akbar o abbas, hussain ibn e ali
dekho nau(9) laakh ko in chaar se darr lagta hai
Yaa to chup jaye nishan isliye lamba hai ghilaaf
yaa tumhe kaabe ki deewar se darr lagta hai
Mujhse darta hai zamana ye kaha marhab ne
aur mujhe Haider e qarrar se darr lagta hai
Boli zainab ke daro shaam ke hakim se tumhi
kyuki makkaro ko makkar se darr lagta hai
Isliye karbobala shaam se aaya na yazeed
usko abbas e alamdaar se darr lagta hai
Koi jhutha bhi yaha khata nahi jhuthi qasam
sabko abbas ke darbaar se darr lagta hai
Aaj bhi dekh ke darr jaate hai ghazi ka alam
bewafao ko wafadaar se darr lagta hai
Hum sharar naqvi hai deewane abu talib ke
unko eemaa'n ke tarafdaar se darr lagta hai